aye tahir-e-lahoti is rizq se maot achi
jis rizq se aati hai parwaz main kotahi
ghulami main na kam aati hain shamshireen na tadbireen
jo ho zaoq-e-yaqeen paida to kat jati hain zanjireen..
Illama Iqbal Born ( 9 November 1877 )
Banda-o-Sahib-o-Mauhtaaj-o-Ghani Aik Huwe
Teri Sarkar Mein Pohanche To Sabhi Aik Huwe
Ye Bandagi Khudai, Woh Bandagi Gadai
Ya Banda-e-Khuda Ban Ya Banda-e-Zamana!
Ya Banda-e-Khuda Ban Ya Banda-e-Zamana!
is daor ki zulmat main har qalb-e-preshan ko
wo dag-e-Muhabbat de jo chand ko sharma de
youn hath nahi aata wo gohre yak dana
yak rangi-o-Aazadi ay himmat mardana
Nahi hai cheez nikammi koi zamane main
koi bora nahi qudrat k karkhane mainkhudi ko kar buland itna k har taqdeer se pehly
Khuda bandy se khud pochy bata teri raza kya hai
No comments:
Post a Comment