Urdu Poetry



matti bhi jamma ki aor khilone bhi bana kar dekhe
zindagi phir na muskurai bachpan ki trah .!





 duyan ne mujh ko yonhi ghazal gar samjh liya
main to kisi ky husn ko kam kar k likhta hoon

dunia ne ghol deen mere lehje main talkhiyan
main guftagu ka shoq bhi pora na kar saka

Dunia Matlab di O yaar



 Udas Logo...

 main ne samander se sikha hai jine ka saliqa
chup chap se behna , apni mouj main rehna

Ham bure..!
hameen tasleem magar
tum kehte ho to, bura lagta hai

 soz-e-fraq-e-yaar main marna nahi kamal
mar mar k hijjer-e-yaar main jina kamal hai

 Daim Aabad Rahy Gi Duya !
Ham Na Hon Ge Koi Ham Sa Ho Ga
 Man ki baat man main rahy to man main lage rog
man kholeen to mushkil kar leen jiwan apna log

Nadan parinde ghar aa ja..

ham nend k shoqeen zyada to nahi lakin
kuch khwab na dekhen to guzara na hi hota



ishq k dhagon main...
mera ji chahta hai kyon .. ??

Be wafa Log..

 hain dalileen tere khilaf magar
sochta hoon teri himayet main

 masrofiyat main aati hai be had tumhari yaad
fursat main teri yaad sy fursat nahi milti

Baba mujh ko Dar lagta hai..

 zindage tere taqub main yeh log
atna chalte hain k mar jate hain

 mati ki murtoon ka hai mela laga howa
ankheen tlash karti hian insan kabhi kabhi

 Suno aye chand si ladki..

koi aik shakhas to yon mile
keh wo mile to zaid sakoon mile


 na jane kon duaon main yad rakhta hai
main dobta hon samndar uchal deta hai

 kuch nahi chahiye tujh se aay umer-e-rawan
mera bachpan mere jugno miri  gudiya la de


 mita de apni hasti ko ager kuch martaba chahiy
keh dana khak main mil kar gule gulzar banta hai

 chotiya chotiya gallan ute..

 Trs jao ge hamare munh se sunne ko aik aik lafz
pyar ki bat to kya ham shikaet bhi na kareen ge

 tere hote howe..

main tere lab pe hoon..

Do char nahi mujh ko faqt aik dikha do
wo shakhas jo ander se bhi bahir ki trah hai.


funny Poety


 main sach kahon gi phir bhi haar jaon gi
wo jhot bole ga aor lajwab kar de ga..
sans tot jati hai ..
maan tot jane se

 bhookh mitane ki khatir
ham ne sapne bech diye

 Suno tum laot aao na...!

 taluq torta hon tu mukamal tor deta hoon

main bhi kitna pagal hoon na...!

Tumhe yad hai jana

wo jisy kaha karte hain sab chain ki neend
wo tere bad kabhi aankh main utri hi nahi..

Bahadur Shah Zafar
yom-e-visal 7th november 1962
Tum bin udas hoon..

 Umeed abhi kuch baqi hai..

 Aao guzry howy lamhoon ko sada deen
tum jo aao qareeb waqt ko thehra deen

 manzleen hain qurbateen hain fasle hain doriyan
kuch teri majboria    kuch meri majborian

 Ab to aanson ka ik qatra bhi ruswa kar jata hai
bachpan main ham ji bhar k roya karte thy..

 Zindge de din thore reh gay...

jab twaqeh hi uth gai ghalib
kyon kisi ka gila kare koi

is Eid par phir sath hain mere
pardais tanhai aor bas teri yadeen

khwaboon k liy.....


 chand nikla hai Aao....

 bachpan main bahot shrarti thi wo
ab to shetan ho gai ho gi.

tamanna wo tamanna ho jo dil ki dil main reh jay
jo mar kar bhi na pory hon unheen arman kehte hain

 pehly rag rag se khon nichora us ne
ab yeh kehta hai k rangat himeri nili thi

 Sunehri khawb ankhon mein buna kartey they hum dono,
Parindon ki tarah din bhar urra karte they hum dono,

Ilaahi zindagi yun hi mohabbat mein guzar jaye,
Nimaaz-e-fajar parh kar yeh dua kartey they hum dono,

Hamesha thandi ho jati thi chaye baaton baaton mein,
Woh batain jo un ankhon se kiya karte they hum dono,

Hawaa ke aik jhonkey se larz jatey dareechon main,
Chiraghon ki tarah shab bhar jala kartey they hum dono,

Mohabbat mein katthan rastey bohat asaan lagtey they,
Pahaarron par sahulat se charha karte they hum dono,

Hassan ruswayi ka hadsha kabhi dil main nahin aya,
Khayaalon aur khawbon mein mila karte they hum dono.


bahot nazdeek ho kar bhi wo itna door hai mujh se
ishara ho nahi sakta pukara ja nahi sakta

badalti rutto se ghabra kar...

ager tum laot aao to
meri takmeel ho jay

 ham ne aaj bhi usy wasy hi chahte hain 
jese koi sokha darkht pani ka talbgar ho

 muhabbat roh main utara howa musam hai jana
taluq khatam karne se muhabbat kam nahi hoti

 meri talash ka jurm hai ya meri wafa ka qasoor
jo dil ke qreeb aaya wohi be wafa nikla

 pocha tha us ne haal badi mudatoon k baad
kuch pad geya hai aankh main yeh keh k ro pady

 ham ne tumhare khyal ki titli daboch li
sab rang kainat ke muthi main aa gay


main us ko soch soch kar pathar ki ho gai
jane wo shakhas kis trah jado sa kar geya

yadeen to teri chor kar jati nahi mujhy
dil hi faqat udaas hai wasy to theek hoon


assy raha karo k karen log aarzoo
aaisa chaln chalo k zmana misal de


kabhi kabhi k taswar se gee nahi bharta
mere khyal main aao to bar bar aao

 
koi pochta hai mujh se meri zindagi ki qimat
    mujhy yaad aa jata hai tera halka sa muskurana


 Roz wo ik bar bhi ager Padta
    main usy yaad ho gai hoti




























































































































No comments:

Post a Comment