Tuesday, October 29, 2013

Miyan Muhammad Bakhash

 ik kaly ik sabaz kabotar ik chitte ban aay
mudhon ikko nasl Muhammad aggon rang watay

Monday, October 28, 2013

Illama Muhammad Iqbal

 Banda-o-Sahib-o-Mauhtaaj-o-Ghani Aik Huwe
Teri Sarkar Mein Pohanche To Sabhi Aik Huwe

Sunday, October 27, 2013

Urdu Poetry

 Aao guzry howy lamhoon ko sada deen
tum jo aao qareeb waqt ko thehra deen

Saturday, October 26, 2013

Urdu Dua

 is se pehly k yeh duna mujhy ruswa kar de..

Urdu Poetry

 manzleen hain qurbateen hain fasle hain doriyan
kuch teri majboria    kuch meri majborian

Thursday, October 24, 2013

Urdu Poetry

 Ab to aanson ka ik qatra bhi ruswa kar jata hai
bachpan main ham ji bhar k roya karte thy..

Thursday, October 17, 2013

Thursday, October 10, 2013

Naat

 jahan bhar ki khushiyan mileen gi yahan par
k ishq-e-Muhammad(S.A.W)jo main bsao..

Tuesday, October 8, 2013

Urdu Poetry

tamanna wo tamanna ho jo dil ki dil main reh jay
jo mar kar bhi na pory hon unheen arman kehte hain

naat

 Ilhan ki Rim Jhim Kaheen Bakhshash ki ghata hai..

Monday, October 7, 2013

Illama Muhammad Iqbal

Ye Bandagi Khudai, Woh Bandagi Gadai
Ya Banda-e-Khuda Ban Ya Banda-e-Zamana!

 pehly rag rag se khon nichora us ne
ab yeh kehta hai k rangat himeri nili thi

Saturday, October 5, 2013

Wednesday, October 2, 2013

Urdu Poetry

 Sunehri khawb ankhon mein buna kartey they hum dono,
Parindon ki tarah din bhar urra karte they hum dono,

Ilaahi zindagi yun hi mohabbat mein guzar jaye,
Nimaaz-e-fajar parh kar yeh dua kartey they hum dono,

Hamesha thandi ho jati thi chaye baaton baaton mein,
Woh batain jo un ankhon se kiya karte they hum dono,

Hawaa ke aik jhonkey se larz jatey dareechon main,
Chiraghon ki tarah shab bhar jala kartey they hum dono,

Mohabbat mein katthan rastey bohat asaan lagtey they,
Pahaarron par sahulat se charha karte they hum dono,

Hassan ruswayi ka hadsha kabhi dil main nahin aya,
Khayaalon aur khawbon mein mila karte they hum dono.

Tuesday, October 1, 2013

Urdu Poetry

bahot nazdeek ho kar bhi wo itna door hai mujh se
ishara ho nahi sakta pukara ja nahi sakta